thakan ghalib hai dam toote hue hain
safar jaari qadam toote hue hain
b-zaahir to hain saalim jism-o-jaan se
magar andar se ham toote hue hain
adhoore hain yahan saare ke saare
sabhi to besh-o-kam toote hue hain
bura ho a'timaad-e-baahmi ka
ki sab qaul-o-qasam toote hue hain
taalluq tootne ko hai jahaan se
chalo ki band-e-gham toote hue hain
khuda ka ghar na baksha zaalimon ne
kai dair-o-haram toote hue hain
unhen munsif nahin qaateel kaho tum
ki sab un ke qalam toote hue hain
थकन ग़ालिब है दम टूटे हुए हैं
सफ़र जारी क़दम टूटे हुए हैं
ब-ज़ाहिर तो हैं सालिम जिस्म-ओ-जाँ से
मगर अंदर से हम टूटे हुए हैं
अधूरे हैं यहाँ सारे के सारे
सभी तो बेश-ओ-कम टूटे हुए हैं
बुरा हो ए'तिमाद-ए-बाहमी का
कि सब क़ौल-ओ-क़सम टूटे हुए हैं
तअल्लुक़ टूटने को है जहाँ से
चलो कि बंद-ए-ग़म टूटे हुए हैं
ख़ुदा का घर न बख़्शा ज़ालिमों ने
कई दैर-ओ-हरम टूटे हुए हैं
उन्हें मुंसिफ़ नहीं क़ातिल कहो तुम
कि सब उन के क़लम टूटे हुए हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghani Ejaz
our suggestion based on Ghani Ejaz
As you were reading Duniya Shayari Shayari