jaur-e-be-ja ko jo kahte ho baja hai vo bhi | जौर-ए-बे-जा को जो कहते हो बजा है वो भी

  - Ghani Ejaz

jaur-e-be-ja ko jo kahte ho baja hai vo bhi
dasht-e-qaatil pe lahu hai ki hina hai vo bhi

log khush hain use de de ke ibadat ka fareb
vo magar khoob samajhta hai khuda hai vo bhi

aaj bas aaj hai kya zikr guzashta kal ka
laakh sona sahi mitti mein daba hai vo bhi

tum jise jabr-o-sitam qahar-o-ghazab kahte ho
apne a'amal ki dar-asl saza hai vo bhi

chaaragar bhool gaye hon to bata do ejaz
zahar kahte hain jise ek dava hai vo bhi

जौर-ए-बे-जा को जो कहते हो बजा है वो भी
दस्त-ए-क़ातिल पे लहू है कि हिना है वो भी

लोग ख़ुश हैं उसे दे दे के इबादत का फ़रेब
वो मगर ख़ूब समझता है ख़ुदा है वो भी

आज बस आज है क्या ज़िक्र गुज़शता कल का
लाख सोना सही मिट्टी में दबा है वो भी

तुम जिसे जब्र-ओ-सितम क़हर-ओ-ग़ज़ब कहते हो
अपने आ'माल की दर-अस्ल सज़ा है वो भी

चारागर भूल गए हों तो बता दो 'एजाज़'
ज़हर कहते हैं जिसे एक दवा है वो भी

  - Ghani Ejaz

Crime Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghani Ejaz

As you were reading Shayari by Ghani Ejaz

Similar Writers

our suggestion based on Ghani Ejaz

Similar Moods

As you were reading Crime Shayari Shayari