junoon mein der se khud ko pukaarta hoon main | जुनूँ में देर से ख़ुद को पुकारता हूँ मैं

  - Ghani Ejaz

junoon mein der se khud ko pukaarta hoon main
jo gham hai daaman-e-sehra mein vo sada hoon main

badal gaya hai zamaana badal gaya hoon main
ab apni samt bhi hairat se dekhta hoon main

hayaat ek saza hai bhagat raha hoon main
dar-e-qubool se lauti hui dua hoon main

jise khud aap hi apne pe pyaar aa jaaye
jafaa ke daur mein vo laghzish-e-wafa hoon main

jamaal-e-yaar ki raanaaiyaan maaz-allah
nigaah ban ke nazaaron mein kho gaya hoon main

bas ek jumbish-e-lab tak vujood hai jis ka
zabaan-e-shauq pe vo harf-e-muddaa hoon main

agar hai jurm mohabbat to phir takalluf kya
madaar-e-jurm hoon taqseer hoon khata hoon main

rafaqaton ke ye faanoos ta-b-kai ejaz
hawa ki zad pe larzata hua diya hoon main

जुनूँ में देर से ख़ुद को पुकारता हूँ मैं
जो ग़म है दामन-ए-सहरा में वो सदा हूँ मैं

बदल गया है ज़माना बदल गया हूँ मैं
अब अपनी सम्त भी हैरत से देखता हूँ मैं

हयात एक सज़ा है भगत रहा हूँ मैं
दर-ए-क़ुबूल से लौटी हुई दुआ हूँ मैं

जिसे ख़ुद आप ही अपने पे प्यार आ जाए
जफ़ा के दौर में वो लग़्ज़िश-ए-वफ़ा हूँ मैं

जमाल-ए-यार की रानाइयाँ मआज़-अल्लाह
निगाह बन के नज़ारों में खो गया हूँ मैं

बस एक जुम्बिश-ए-लब तक वजूद है जिस का
ज़बान-ए-शौक़ पे वो हर्फ़-ए-मुद्दआ' हूँ मैं

अगर है जुर्म मोहब्बत तो फिर तकल्लुफ़ क्या
मदार-ए-जुर्म हूँ तक़्सीर हूँ ख़ता हूँ मैं

रफ़ाक़तों के ये फ़ानूस ता-ब-कै 'एजाज़'
हवा की ज़द पे लरज़ता हुआ दिया हूँ मैं

  - Ghani Ejaz

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghani Ejaz

As you were reading Shayari by Ghani Ejaz

Similar Writers

our suggestion based on Ghani Ejaz

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari