bewafa ke wa'de par e'tibaar karte hain | बेवफ़ा के वा'दे पर ए'तिबार करते हैं

  - Ghani Ejaz

bewafa ke wa'de par e'tibaar karte hain
vo na aayega phir bhi intizaar karte hain

log ab mohabbat mein kaarobaar karte hain
dil bacha ke rakhte hain jaan shikaar karte hain

ishratein jahaan-bhar ki bas unhin ka hissa hai
jo ravish zamaane ki ikhtiyaar karte hain

shakhsiyat mein jhaanken to aur hi tamasha hai
baatein jo naseehat ki be-shumaar karte hain

apne dam-qadam se to dasht bhi gulistaan hai
ham jo khaarzaaron ko laala-zaar karte hain

jaan se guzarte hain be-khudi mein ahl-e-dil
vo jo chashm-e-pur-fan ko julfiqaar karte hain

hon shagoofe shaakhon ke ya love charaagon ki
sab hawa ke daaman par inhisaar karte hain

ham kahaan ke daana hain kis hunar mein yaktaa hain
log phir bhi jaane kyun ham se pyaar karte hain

jis jagah pe khadsha ho pair ke fisalne ka
ham qadam wahin ejaz ustuvaar karte hain

बेवफ़ा के वा'दे पर ए'तिबार करते हैं
वो न आएगा फिर भी इंतिज़ार करते हैं

लोग अब मोहब्बत में कारोबार करते हैं
दिल बचा के रखते हैं जाँ शिकार करते हैं

इशरतें जहाँ-भर की बस उन्हीं का हिस्सा है
जो रविश ज़माने की इख़्तियार करते हैं

शख़्सियत में झांकें तो और ही तमाशा है
बातें जो नसीहत की बे-शुमार करते हैं

अपने दम-क़दम से तो दश्त भी गुलिस्ताँ है
हम जो ख़ारज़ारों को लाला-ज़ार करते हैं

जान से गुज़रते हैं बे-ख़ुदी में अहल-ए-दिल
वो जो चश्म-ए-पुर-फ़न को जुल्फ़िक़ार करते हैं

हों शगूफ़े शाख़ों के या लवें चराग़ों की
सब हवा के दामन पर इंहिसार करते हैं

हम कहाँ के दाना हैं किस हुनर में यकता हैं
लोग फिर भी जाने क्यूँ हम से प्यार करते हैं

जिस जगह पे ख़दशा हो पैर के फिसलने का
हम क़दम वहीं 'एजाज़' उस्तुवार करते हैं

  - Ghani Ejaz

Hawa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghani Ejaz

As you were reading Shayari by Ghani Ejaz

Similar Writers

our suggestion based on Ghani Ejaz

Similar Moods

As you were reading Hawa Shayari Shayari