parinda hadd-e-nazar tak jo aasmaan mein hai | परिंदा हद्द-ए-नज़र तक जो आसमान में है - Ghani Ejaz

parinda hadd-e-nazar tak jo aasmaan mein hai
paron mein zor kahaan hausla udaan mein hai

abhi se bheeg raha hai hadf paseene mein
ki teer chhoota nahin hai abhi kamaan mein hai

giregi kaun si chat pe ye kab kise maaloom
kati patang hawaon ke imtihaan mein hai

sukoon-e-qalb ko mahlon mein dhoondhne waalo
sukoon-e-qalb faqeeron ke khaandaan mein hai

khareedna hai jo tohfa tumhein mohabbat ka
milega dil ke evaz dard ki dukaan mein hai

hayaat-o-maut faqat naam ghar badlne ka
samet rakha hai samaan saayebaan mein hai

परिंदा हद्द-ए-नज़र तक जो आसमान में है
परों में ज़ोर कहाँ हौसला उड़ान में है

अभी से भीग रहा है हदफ़ पसीने में
कि तीर छूटा नहीं है अभी कमान में है

गिरेगी कौन सी छत पे ये कब किसे मालूम
कटी पतंग हवाओं के इम्तिहान में है

सुकून-ए-क़ल्ब को महलों में ढूँडने वालो
सुकून-ए-क़ल्ब फ़क़ीरों के ख़ानदान में है

ख़रीदना है जो तोहफ़ा तुम्हें मोहब्बत का
मिलेगा दिल के एवज़ दर्द की दुकान में है

हयात-ओ-मौत फ़क़त नाम घर बदलने का
समेट रक्खा है सामान साएबान में है

- Ghani Ejaz
0 Likes

Birthday Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghani Ejaz

As you were reading Shayari by Ghani Ejaz

Similar Writers

our suggestion based on Ghani Ejaz

Similar Moods

As you were reading Birthday Shayari Shayari