tumhein khabar bhi hai ye tum ne kis se kya maanga
bhanwar mein doobne waalon se aasraa maanga
sune jo mere azaem to aazmaane ko
hawa se barq ne ghar ka mere pata maanga
khud apni raah banata gaya pahaadon mein
kabhi kahaan kisi dariya ne raasta maanga
jo aap apne andheron se bad-havaas hui
shab-e-siyaah ne ghabra ke ik diya maanga
kahi bhi ho koi neki baraae neki ho
wahin pe ho gai zaayein agar sila maanga
khuda ki den ke mohtaaj-e-bandagaan-e-khuda
ye kya ki maangne waalon se jaa-b-jaa maanga
hamein jo ishq mein hona tha surkh-roo ejaz
to ham ne jaan-e-hazeen qalb-e-mubtala maanga
तुम्हें ख़बर भी है ये तुम ने किस से क्या माँगा
भँवर में डूबने वालों से आसरा माँगा
सुने जो मेरे अज़ाएम तो आज़माने को
हवा से बर्क़ ने घर का मिरे पता माँगा
ख़ुद अपनी राह बनाता गया पहाड़ों में
कभी कहाँ किसी दरिया ने रास्ता माँगा
जो आप अपने अंधेरों से बद-हवास हुई
शब-ए-सियाह ने घबरा के इक दिया माँगा
कहीं भी हो कोई नेकी बराए नेकी हो
वहीं पे हो गई ज़ाएअ' अगर सिला माँगा
ख़ुदा की देन के मोहताज-ए-बंदगान-ए-ख़ुदा
ये क्या कि माँगने वालों से जा-ब-जा माँगा
हमें जो इश्क़ में होना था सुर्ख़-रू 'एजाज़'
तो हम ने जान-ए-हज़ीं क़ल्ब-ए-मुब्तला माँगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghani Ejaz
our suggestion based on Ghani Ejaz
As you were reading Kashmir Shayari Shayari