koi hamraah nahin raah ki mushkil ke siva | कोई हमराह नहीं राह की मुश्किल के सिवा

  - Ghani Ejaz

koi hamraah nahin raah ki mushkil ke siva
hasil-e-umr bhi kya hai gham-e-haasil ke siva

ek sannaata musallat tha guzargaahon par
zindagi thi bhi kahaan koocha-e-qaatil ke siva

har qadam haadse har gaam maraahil the yahan
apne qadmon mein har ik shay rahi manzil ke siva

tha misaali jo zamaane mein samundar ka sukoot
kaun toofaan uthaata raha saahil ke siva

apne markaz se har ik cheez gurezaan nikli
leila har bazm mein thi khalwat-e-mahmil ke siva

apni raahon mein to khud boye hain kaante us ne
dushman-e-dil ki nahin aur koi dil ke siva

apni taqdeer tha barbaad-e-mohabbat hona
mahfilein aur bhi theen aap ki mehfil ke siva

कोई हमराह नहीं राह की मुश्किल के सिवा
हासिल-ए-उम्र भी क्या है ग़म-ए-हासिल के सिवा

एक सन्नाटा मुसल्लत था गुज़रगाहों पर
ज़िंदगी थी भी कहाँ कूचा-ए-क़ातिल के सिवा

हर क़दम हादसे हर गाम मराहिल थे यहाँ
अपने क़दमों में हर इक शय रही मंज़िल के सिवा

था मिसाली जो ज़माने में समुंदर का सुकूत
कौन तूफ़ान उठाता रहा साहिल के सिवा

अपने मरकज़ से हर इक चीज़ गुरेज़ाँ निकली
लैला हर बज़्म में थी ख़ल्वत-ए-महमिल के सिवा

अपनी राहों में तो ख़ुद बोए हैं काँटे उस ने
दुश्मन-ए-दिल कि नहीं और कोई दिल के सिवा

अपनी तक़दीर था बरबाद-ए-मोहब्बत होना
महफ़िलें और भी थीं आप की महफ़िल के सिवा

  - Ghani Ejaz

Kanta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghani Ejaz

As you were reading Shayari by Ghani Ejaz

Similar Writers

our suggestion based on Ghani Ejaz

Similar Moods

As you were reading Kanta Shayari Shayari