andaaz-e-fikr ahl-e-jahaan ka juda raha | अंदाज़-ए-फ़िक्र अहल-ए-जहाँ का जुदा रहा

  - Ghani Ejaz

andaaz-e-fikr ahl-e-jahaan ka juda raha
vo mujh se khush rahe to zamaana khafa raha

aalam hayaat ka na kabhi ek sa raha
duniya mein zindagi ka tamasha bana raha

tha har qadam pe apne azaem ka imtihaan
har gaam haadsaat ka mahshar bapaa raha

phoolon ki ahad gul mein tijaarat to khoob ki
pooche koi ki daaman-e-gulchin mein kya raha

baar-e-garaan tha mere liye arsa-e-hayaat
jeene ka tere gham se bahut hausla raha

har fikr har amal ka hai niyyat pe inhisaar
shaikh-e-haram bhi banda-e-hirs-o-hawa raha

duniya amal ki raah mein aage nikal gai
zaahid to khaanqaah mein mahv-e-dua raha

ham laakh muskuraaye tabassum ki ot se
soz-e-gham-e-hayaat magar jhaankta raha

ejaz ahl-e-jaur se nafrat rahi unhen
har zulm un ki bazm mein lekin rawa raha

अंदाज़-ए-फ़िक्र अहल-ए-जहाँ का जुदा रहा
वो मुझ से ख़ुश रहे तो ज़माना ख़फ़ा रहा

आलम हयात का न कभी एक सा रहा
दुनिया में ज़िंदगी का तमाशा बना रहा

था हर क़दम पे अपने अज़ाएम का इम्तिहाँ
हर गाम हादसात का महशर बपा रहा

फूलों की अहद गुल में तिजारत तो ख़ूब की
पूछे कोई कि दामन-ए-गुलचीं में क्या रहा

बार-ए-गराँ था मेरे लिए अरसा-ए-हयात
जीने का तेरे ग़म से बहुत हौसला रहा

हर फ़िक्र हर अमल का है निय्यत पे इंहिसार
शैख़-ए-हरम भी बंदा-ए-हिर्स-ओ-हवा रहा

दुनिया अमल की राह में आगे निकल गई
ज़ाहिद तो ख़ानक़ाह में महव-ए-दुआ रहा

हम लाख मुस्कुराए तबस्सुम की ओट से
सोज़-ए-ग़म-ए-हयात मगर झाँकता रहा

'एजाज़' अहल-ए-जौर से नफ़रत रही उन्हें
हर ज़ुल्म उन की बज़्म में लेकिन रवा रहा

  - Ghani Ejaz

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghani Ejaz

As you were reading Shayari by Ghani Ejaz

Similar Writers

our suggestion based on Ghani Ejaz

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari