tumhaare shehar mein aangan nahin hai
kahi tulsi nahin chandan nahin hai
club mein milte hain radha kanhaiya
ki jamuna tat nahin madhuban nahin hai
yahan har aur aatish hai dhuaan hai
kahi bhi aaj-kal saawan nahin hai
ameeri ka badan sone se peela
ghareebi ke liye utran nahin hai
vo dekhen kis tarah dil ki siyaahi
ki un ke paas ab darpan nahin hai
तुम्हारे शहर में आँगन नहीं है
कहीं तुलसी नहीं चंदन नहीं है
क्लब में मिलते हैं राधा कन्हैया
कि जमुना तट नहीं मधुबन नहीं है
यहाँ हर और आतिश है धुआँ है
कहीं भी आज-कल सावन नहीं है
अमीरी का बदन सोने से पीला
ग़रीबी के लिए उतरन नहीं है
वो देखें किस तरह दिल की सियाही
कि उन के पास अब दर्पन नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghaus Siwani
our suggestion based on Ghaus Siwani
As you were reading Shehar Shayari Shayari