haath chhooten bhi to rishte nahin chhodaa karte
waqt ki shaakh se lamhe nahin toda karte
jis ki awaaz mein silvat ho nigaahon mein shikan
aisi tasveer ke tukde nahin joda karte
lag ke saahil se jo bahta hai use bahne do
aise dariya ka kabhi rukh nahin moda karte
jaagne par bhi nahin aankh se girtiin kirchen
is tarah khwaabon se aankhen nahin phoda karte
shahad jeene ka mila karta hai thoda thoda
jaane waalon ke liye dil nahin thoda karte
ja ke kohsaar se sar maaro ki awaaz to ho
khasta deewaron se maatha nahin phoda karte
हाथ छूटें भी तो रिश्ते नहीं छोड़ा करते
वक़्त की शाख़ से लम्हे नहीं तोड़ा करते
जिस की आवाज़ में सिलवट हो निगाहों में शिकन
ऐसी तस्वीर के टुकड़े नहीं जोड़ा करते
लग के साहिल से जो बहता है उसे बहने दो
ऐसे दरिया का कभी रुख़ नहीं मोड़ा करते
जागने पर भी नहीं आँख से गिरतीं किर्चें
इस तरह ख़्वाबों से आँखें नहीं फोड़ा करते
शहद जीने का मिला करता है थोड़ा थोड़ा
जाने वालों के लिए दिल नहीं थोड़ा करते
जा के कोहसार से सर मारो कि आवाज़ तो हो
ख़स्ता दीवारों से माथा नहीं फोड़ा करते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gulzar
our suggestion based on Gulzar
As you were reading Kashmir Shayari Shayari