shaam se aankh mein nami si hai | शाम से आँख में नमी सी है

  - Gulzar

shaam se aankh mein nami si hai
aaj phir aap ki kami si hai

dafn kar do hamein ki saans aaye
nabz kuchh der se thami si hai

kaun pathra gaya hai aankhon mein
barf palkon pe kyun jamee si hai

waqt rehta nahin kahi tik kar
aadat is ki bhi aadmi si hai

aaiye raaste alag kar len
ye zaroorat bhi baahmi si hai

शाम से आँख में नमी सी है
आज फिर आप की कमी सी है

दफ़्न कर दो हमें कि साँस आए
नब्ज़ कुछ देर से थमी सी है

कौन पथरा गया है आँखों में
बर्फ़ पलकों पे क्यूँ जमी सी है

वक़्त रहता नहीं कहीं टिक कर
आदत इस की भी आदमी सी है

आइए रास्ते अलग कर लें
ये ज़रूरत भी बाहमी सी है

  - Gulzar

Romance Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gulzar

As you were reading Shayari by Gulzar

Similar Writers

our suggestion based on Gulzar

Similar Moods

As you were reading Romance Shayari Shayari