beete rishte talash karti hai | बीते रिश्ते तलाश करती है

  - Gulzar

beete rishte talash karti hai
khushboo gunche talash karti hai

jab guzarti hai us gali se saba
khat ke purze talash karti hai

apne maazi ki justuju mein bahaar
peele patte talash karti hai

ek ummeed baar baar aa kar
apne tukde talash karti hai

boodhi pagdandi shehar tak aa kar
apne bete talash karti hai

बीते रिश्ते तलाश करती है
ख़ुशबू ग़ुंचे तलाश करती है

जब गुज़रती है उस गली से सबा
ख़त के पुर्ज़े तलाश करती है

अपने माज़ी की जुस्तुजू में बहार
पीले पत्ते तलाश करती है

एक उम्मीद बार बार आ कर
अपने टुकड़े तलाश करती है

बूढ़ी पगडंडी शहर तक आ कर
अपने बेटे तलाश करती है

  - Gulzar

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gulzar

As you were reading Shayari by Gulzar

Similar Writers

our suggestion based on Gulzar

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari