khuli kitaab ke safhe ultate rahte hain | खुली किताब के सफ़्हे उलटते रहते हैं - Gulzar

khuli kitaab ke safhe ultate rahte hain
hawa chale na chale din palatte rahte hain

bas ek vahshat-e-man'zil hai aur kuch bhi nahin
ki chand seedhiyaan chadhte utarte rahte hain

mujhe to roz kasauti pe dard kasta hai
ki jaan se jism ke bakhiye udhadte rahte hain

kabhi ruka nahin koi maqaam-e-sehra mein
ki teele paanv-tale se sarkate rahte hain

ye rotiyaan hain ye sikke hain aur daayere hain
ye ek dooje ko din bhar pakadte rahte hain

bhare hain raat ke reze kuch aise aankhon mein
ujaala ho to hum aankhen jhapakte rahte hain

खुली किताब के सफ़्हे उलटते रहते हैं
हवा चले न चले दिन पलटते रहते हैं

बस एक वहशत-ए-मंज़िल है और कुछ भी नहीं
कि चंद सीढ़ियाँ चढ़ते उतरते रहते हैं

मुझे तो रोज़ कसौटी पे दर्द कसता है
कि जाँ से जिस्म के बख़िये उधड़ते रहते हैं

कभी रुका नहीं कोई मक़ाम-ए-सहरा में
कि टीले पाँव-तले से सरकते रहते हैं

ये रोटियाँ हैं ये सिक्के हैं और दाएरे हैं
ये एक दूजे को दिन भर पकड़ते रहते हैं

भरे हैं रात के रेज़े कुछ ऐसे आँखों में
उजाला हो तो हम आँखें झपकते रहते हैं

- Gulzar
0 Likes

Ilm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gulzar

As you were reading Shayari by Gulzar

Similar Writers

our suggestion based on Gulzar

Similar Moods

As you were reading Ilm Shayari Shayari