khushboo jaise log mile afsaane mein | ख़ुशबू जैसे लोग मिले अफ़्साने में

  - Gulzar

khushboo jaise log mile afsaane mein
ek puraana khat khola anjaane mein

shaam ke saaye balishton se naape hain
chaand ne kitni der laga di aane mein

raat guzarte shaayad thoda waqt lage
dhoop undelo thodi si paimaane mein

jaane kis ka zikr hai is afsaane mein
dard maze leta hai jo dohraane mein

dil par dastak dene kaun aa nikla hai
kis ki aahat sunta hoon veeraane mein

ham is mod se uth kar agle mod chale
un ko shaayad umr lagegi aane mein

ख़ुशबू जैसे लोग मिले अफ़्साने में
एक पुराना ख़त खोला अनजाने में

शाम के साए बालिश्तों से नापे हैं
चाँद ने कितनी देर लगा दी आने में

रात गुज़रते शायद थोड़ा वक़्त लगे
धूप उन्डेलो थोड़ी सी पैमाने में

जाने किस का ज़िक्र है इस अफ़्साने में
दर्द मज़े लेता है जो दोहराने में

दिल पर दस्तक देने कौन आ निकला है
किस की आहट सुनता हूँ वीराने में

हम इस मोड़ से उठ कर अगले मोड़ चले
उन को शायद उम्र लगेगी आने में

  - Gulzar

Shaam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gulzar

As you were reading Shayari by Gulzar

Similar Writers

our suggestion based on Gulzar

Similar Moods

As you were reading Shaam Shayari Shayari