jab bhi aankhon mein ashk bhar aaye
log kuchh doobte nazar aaye
apna mehwar badal chuki thi zameen
ham khala se jo laut kar aaye
chaand jitne bhi gum hue shab ke
sab ke ilzaam mere sar aaye
chand lamhe jo laut kar aaye
raat ke aakhiri pahar aaye
ek goli gai thi soo-e-falak
ik parinde ke baal-o-par aaye
kuchh charaagon ki saans toot gai
kuchh b-mushkil dam-e-sehar aaye
mujh ko apna pata-thikaana mile
vo bhi ik baar mere ghar aaye
जब भी आँखों में अश्क भर आए
लोग कुछ डूबते नज़र आए
अपना मेहवर बदल चुकी थी ज़मीं
हम ख़ला से जो लौट कर आए
चाँद जितने भी गुम हुए शब के
सब के इल्ज़ाम मेरे सर आए
चंद लम्हे जो लौट कर आए
रात के आख़िरी पहर आए
एक गोली गई थी सू-ए-फ़लक
इक परिंदे के बाल-ओ-पर आए
कुछ चराग़ों की साँस टूट गई
कुछ ब-मुश्किल दम-ए-सहर आए
मुझ को अपना पता-ठिकाना मिले
वो भी इक बार मेरे घर आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gulzar
our suggestion based on Gulzar
As you were reading Romantic Shayari Shayari