garm laashein gireen faseelon se
aasmaan bhar gaya hai cheelon se
sooli chadhne lagi hai khaamoshi
log aaye hain sun ke meelon se
kaan mein aise utri sargoshi
barf fisli ho jaise teelon se
goonj kar aise lautti hai sada
koi pooche hazaaron meelon se
pyaas bharti rahi mere andar
aankh hatti nahin thi jheelon se
log kandhe badal badal ke chale
ghaat pahunchen bade wasiilon se
गर्म लाशें गिरीं फ़सीलों से
आसमाँ भर गया है चीलों से
सूली चढ़ने लगी है ख़ामोशी
लोग आए हैं सुन के मीलों से
कान में ऐसे उतरी सरगोशी
बर्फ़ फिसली हो जैसे टीलों से
गूँज कर ऐसे लौटती है सदा
कोई पूछे हज़ारों मीलों से
प्यास भरती रही मिरे अंदर
आँख हटती नहीं थी झीलों से
लोग कंधे बदल बदल के चले
घाट पहुँचे बड़े वसीलों से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gulzar
our suggestion based on Gulzar
As you were reading Awaaz Shayari Shayari