zikr aaye to mere lab se duaaein niklen | ज़िक्र आए तो मिरे लब से दुआएँ निकलें

  - Gulzar

zikr aaye to mere lab se duaaein niklen
sham'a jaltee hai to laazim hai shuaaein niklen

waqt ki zarb se kat jaate hain sab ke seene
chaand ka chhalaka utar jaaye to qaashein niklen

dafn ho jaayen ki zarkhez zameen lagti hai
kal isee mitti se shaayad meri shaakhen niklen

chand ummeedein nichodhi theen to aahen tapkiin
dil ko pighlaayein to ho saka hai saansen niklen

ghaar ke munh pe rakha rahne do sang-e-khursheed
ghaar mein haath na daalo kahi raatein niklen

ज़िक्र आए तो मिरे लब से दुआएँ निकलें
शम्अ' जलती है तो लाज़िम है शुआएँ निकलें

वक़्त की ज़र्ब से कट जाते हैं सब के सीने
चाँद का छलका उतर जाए तो क़ाशें निकलें

दफ़्न हो जाएँ कि ज़रख़ेज़ ज़मीं लगती है
कल इसी मिट्टी से शायद मिरी शाख़ें निकलें

चंद उम्मीदें निचोड़ी थीं तो आहें टपकीं
दिल को पिघलाएँ तो हो सकता है साँसें निकलें

ग़ार के मुँह पे रखा रहने दो संग-ए-ख़ुर्शीद
ग़ार में हाथ न डालो कहीं रातें निकलें

  - Gulzar

Lab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gulzar

As you were reading Shayari by Gulzar

Similar Writers

our suggestion based on Gulzar

Similar Moods

As you were reading Lab Shayari Shayari