ruke ruke se qadam ruk ke baar baar chale | रुके रुके से क़दम रुक के बार बार चले

  - Gulzar

ruke ruke se qadam ruk ke baar baar chale
qaraar de ke tire dar se be-qaraar chale

uthaaye firte the ehsaan jism ka jaan par
chale jahaan se to ye pairhan utaar chale

na jaane kaun si mitti watan ki mitti thi
nazar mein dhool jigar mein liye ghubaar chale

sehar na aayi kai baar neend se jaage
thi raat raat ki ye zindagi guzaar chale

mili hai sham'a se ye rasm-e-aashiqi ham ko
gunaah haath pe le kar gunaahgaar chale

रुके रुके से क़दम रुक के बार बार चले
क़रार दे के तिरे दर से बे-क़रार चले

उठाए फिरते थे एहसान जिस्म का जाँ पर
चले जहाँ से तो ये पैरहन उतार चले

न जाने कौन सी मिट्टी वतन की मिट्टी थी
नज़र में धूल जिगर में लिए ग़ुबार चले

सहर न आई कई बार नींद से जागे
थी रात रात की ये ज़िंदगी गुज़ार चले

मिली है शम्अ' से ये रस्म-ए-आशिक़ी हम को
गुनाह हाथ पे ले कर गुनाहगार चले

  - Gulzar

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gulzar

As you were reading Shayari by Gulzar

Similar Writers

our suggestion based on Gulzar

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari