saawan aaya
unke ghar mere bhi ghar
unke aangan mein mandraayiin
khoob ghataayein kaali kaali
unke ongan ke gamlon mein
vikhar gayi sundar hariyaali
nootan kislay phoot pade hain
jhoom rahi hai daali daali
kuchh bhi ho unke aangan ki
sundarta hai bahut niraali
unke ghar kone kone mein umdaa hai khushiyon ka saagar
saawan aaya
mere ghar ki boodhi chat ne
apni jarjarta dikhlai
kamre mein paani bhar aaya
aangan mein pasri hai kaai
chhotu bittu munnu mitthu
ne apni kashti tairaai
woh bhi khush hain main bhi khush hoon
saawan tujhko laakh badhaai
unka saawan bhi sundar hai mera saawan unse sundar
saawan aaya
unke ghar mere bhi ghar
सावन आया
उनके घर, मेरे भी घर
उनके आंगन में मँडरायीं
खूब घटायें काली काली,
उनके ऑँगन के गमलों में
विखर गयी सुन्दर हरियाली,
नूतन किसलय फूट पडे हैं
झूम रही है डाली डाली,
कुछ भी हो उनके आँगन की
सुन्दरता है बहुत निराली।
उनके घर कोने कोने में उमडा है खुशियों का सागर..।
सावन आया............
मेरे घर की बूढी छत ने
अपनी जर्जरता दिखलाई,
कमरे में पानी भर आया
आँगन में पसरी है काई,
छोटू बिट्टू मुन्नू मिट्ठू
ने अपनी कश्ती तैराई,
वह भी खुश हैं मैं भी खुश हूँ
सावन तुझको लाख बधाई।
उनका सावन भी सुन्दर है मेरा सावन उनसे सुन्दर।
सावन आया
उनके घर, मेरे भी घर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gyan Prakash Akul
our suggestion based on Gyan Prakash Akul
As you were reading haseen Shayari Shayari