kisi ki jubba-saai se kabhi ghista nahin patthar
vo chaukhat mom ki chaukhat hai ya meri jabeen patthar
khula ab rakhte hain pahluu main pinhaan naazneen patthar
na tha maaloom hain qalb-e-butaan-o-mah-jabeen patthar
bithaaya khaatam-e-izzat pe tere naam-e-naami ne
vagarna hai ye zaahir tha haqeeqat mein nageen patthar
dikhaaye phir na kyun taaseer apni jazb-e-roohaani
yaqeen ho jaaye jab haajat-rava hai bil-yaqeen patthar
talaash-e-yaar mein kya khaar daman-geer himmat hon
hue naadim mile jab sadd-e-rah ban kar kahi patthar
jo main ai koh-kan doon jaan-e-sheereen ishq-e-sheereen mein
to dikhlaaye bajaae sheer joo-e-aabgeen patthar
gira doon faiz-e-ejaaz-e-nubuwwat se vo mumin hoon
chhupaayein phir mukhalif gar miyaan-e-aasteen patthar
pas-e-murdan rahe qalb-o-jigar mein gar yahi sozish
to lauh-e-sang-e-marmar hogi az khud aatishi patthar
ye kehta hai kisi na-mehrabaan ka meherbaan hona
paseijenge tiri garmi se aah-e-aatishi'n patthar
gireen har sang-dil par bijliyaan aisi hawadis ki
ki dete hain gawaahi teri aah-e-aatishi'n patthar
habeeb aaye kahaan se taazgi nakhl-e-mazaameen mein
jahaan tak dekhiye hai yak-qalam ye gul-zameen patthar
किसी की जुब्बा-साई से कभी घिसता नहीं पत्थर
वो चौखट मोम की चौखट है या मेरी जबीं पत्थर
खुला अब रखते हैं पहलू मैं पिन्हाँ नाज़नीं पत्थर
न था मालूम हैं क़ल्ब-ए-बुतान-ओ-मह-जबीं पत्थर
बिठाया ख़ातम-ए-इज़्ज़त पे तेरे नाम-ए-नामी ने
वगर्ना है ये ज़ाहिर था हक़ीक़त में नगीं पत्थर
दिखाए फिर न क्यूँ तासीर अपनी जज़्ब-ए-रूहानी
यक़ीं हो जाए जब हाजत-रवा है बिल-यक़ीं पत्थर
तलाश-ए-यार में क्या ख़ार दामन-गीर हिम्मत हों
हुए नादिम मिले जब सद्द-ए-रह बन कर कहीं पत्थर
जो मैं ऐ कोह-कन दूँ जान-ए-शीरीं इश्क़-ए-शीरीं में
तो दिखलाए बजाए शीर जू-ए-आबगीं पत्थर
गिरा दूँ फ़ैज़-ए-एजाज़-ए-नुबुव्वत से वो मोमिन हूँ
छुपाएँ फिर मुख़ालिफ़ गर म्यान-ए-आस्तीं पत्थर
पस-ए-मुर्दन रहे क़ल्ब-ओ-जिगर में गर यही सोज़िश
तो लौह-ए-संग-ए-मरमर होगी अज़ ख़ुद आतिशीं पत्थर
ये कहता है किसी ना-मेहरबाँ का मेहरबाँ होना
पसीजेंगे तिरी गर्मी से आह-ए-आतिशीं पत्थर
गिरीं हर संग-दिल पर बिजलियाँ ऐसी हवादिस की
कि देते हैं गवाही तेरी आह-ए-आतिशीं पत्थर
'हबीब' आए कहाँ से ताज़गी नख़्ल-ए-मज़ामीं में
जहाँ तक देखिए है यक-क़लम ये गुल-ज़मीं पत्थर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habeeb Moosavi
our suggestion based on Habeeb Moosavi
As you were reading Garmi Shayari Shayari