pitaa ke maathe aaya bas shikan ka dukh
kisi muflis se poocho pairhan ka dukh
sabhi ne raam ka hi kasht dekha bas
tha dasharath ki bhi aankhon mein vachan ka dukh
faqat dilbar ke jismoon tak hi seemit hai
na jaane kyun suhan-var ke sukhun ka dukh
mohabbat mein kalaaee kaatne waale
samjhte hi nahin akshar behn ka dukh
bina marzi kisi se byah di jaaye
wahi ladki bataayegi chhuan ka dukh
gale bhi lag na paaye vasl mein uske
bhala ab aur kya hoga badan ka dukh
yahan har shakhs khun ka pyaasa lagta hai
yaqeenan mazhabi ghin hai watan ka dukh
mujhe footpath ka manzar bataata hai
ki mazdooron ne chakkha hai thakan ka dukh
पिता के माथे आया बस शिकन का दुख
किसी मुफ़्लिस से पूछो पैरहन का दुख
सभी ने राम का ही कष्ट देखा बस
था दशरथ की भी आँखों में वचन का दुख
फ़क़त दिलबर के जिस्मों तक ही सीमित है
न जाने क्यों सुख़न-वर के सुख़न का दुख
मोहब्बत में कलाई काटने वाले
समझते ही नहीं अक्सर बहन का दुख
बिना मर्ज़ी किसी से ब्याह दी जाए
वही लड़की बताएगी छुअन का दुख
गले भी लग न पाए वस्ल में उसके
भला अब और क्या होगा बदन का दुख
यहाँ हर शख़्स ख़ूँ का प्यासा लगता है
यक़ीनन मज़हबी घिन है वतन का दुख
मुझे फुटपाथ का मंज़र बताता है
कि मज़दूरों ने चक्खा है थकन का दुख
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Harsh saxena
our suggestion based on Harsh saxena
As you were reading Udasi Shayari Shayari