sukoon milta nahin jab bhi to maa ki yaad aati hai | सुकूँ मिलता नहीं जब भी तो माँ की याद आती है - Harsh saxena

sukoon milta nahin jab bhi to maa ki yaad aati hai
ki jaise baarishon ki rut mein chhatri yaad aati hai

kahi is shehar ki aab-o-hawa mein dam na ghut jaaye
ki mujhko gaav ki saundhi si mitti yaad aati hai

tarqqi ke shikhar par jab pahunchte hain to akshar hi
vo naa-samjhi mein zaaya ki jawaani yaad aati hai

dikhaaun ishq ki paakizagi kaise tumhein jaanaan
khuda ke zikr par akshar tumhaari yaad aati hai

bhala vo baap haathon ke kise chaale dikhaaye ab
jise ghar baithi ik beti siyaani yaad aati hai

sabab mat poochna mujhse tum usko yaad karne ka
marz ke had se badhne par davaai yaad aati hai

vo ladki chhod aaya tha jise main bad-gumaani mein
akela mein wahi ladki sisakti yaad aati hai

isee ummeed par ab tak ghazal kehta raha hoon main
kabhi vo pooch le shaayad ki kiski yaad aati hai

museebat mol lene ki hai ik tarkeeb ye bhi harsh
use itna kaho teri saheli yaad aati hai

सुकूँ मिलता नहीं जब भी तो माँ की याद आती है
कि जैसे बारिशों की रुत में छतरी याद आती है

कहीं इस शहर की आब-ओ-हवा में दम न घुट जाए
कि मुझको गाँव की सौंधी सी मिट्टी याद आती है

तरक़्क़ी के शिखर पर जब पहुँचते हैं तो अक्सर ही
वो ना-समझी में ज़ाया की जवानी याद आती है

दिखाऊँ इश्क़ की पाकीज़गी कैसे तुम्हें जानाँ
ख़ुदा के ज़िक्र पर अक्सर तुम्हारी याद आती है

भला वो बाप हाथों के किसे छाले दिखाए अब
जिसे घर बैठी इक बेटी सियानी याद आती है

सबब मत पूछना मुझसे तुम उसको याद करने का
मरज़ के हद से बढ़ने पर दवाई याद आती है

वो लड़की, छोड़ आया था जिसे मैं बद-गुमानी में
अकेले में वही लड़की सिसकती याद आती है

इसी उम्मीद पर अब तक ग़ज़ल कहता रहा हूँ मैं
कभी वो पूछ ले शायद कि किसकी याद आती है

मुसीबत मोल लेने की है इक तरकीब ये भी 'हर्ष'
उसे इतना कहो तेरी सहेली याद आती है

- Harsh saxena
2 Likes

Tanhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Harsh saxena

As you were reading Shayari by Harsh saxena

Similar Writers

our suggestion based on Harsh saxena

Similar Moods

As you were reading Tanhai Shayari Shayari