rog dil ko laga gaeein aankhen | रोग दिल को लगा गईं आँखें - Hasrat Mohani

rog dil ko laga gaeein aankhen
ik tamasha dikha gaeein aankhen

mil ke un ki nigaah-e-jaadoo se
dil ko hairaan bana gaeein aankhen

mujh ko dikhla ke raah-e-koocha-e-yaar
kis gazab mein phansa gaeein aankhen

us ne dekha tha kis nazar se mujhe
dil mein goya samaa gaeein aankhen

mahfil-e-yaar mein b-zauq-e-nigaah
lutf kya kya utha gaeein aankhen

haal sunte vo kya mera hasrat
vo to kahiye suna gaeein aankhen

रोग दिल को लगा गईं आँखें
इक तमाशा दिखा गईं आँखें

मिल के उन की निगाह-ए-जादू से
दिल को हैराँ बना गईं आँखें

मुझ को दिखला के राह-ए-कूचा-ए-यार
किस ग़ज़ब में फँसा गईं आँखें

उस ने देखा था किस नज़र से मुझे
दिल में गोया समा गईं आँखें

महफ़िल-ए-यार में ब-ज़ौक़-ए-निगाह
लुत्फ़ क्या क्या उठा गईं आँखें

हाल सुनते वो क्या मिरा 'हसरत'
वो तो कहिए सुना गईं आँखें

- Hasrat Mohani
2 Likes

Justaju Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hasrat Mohani

As you were reading Shayari by Hasrat Mohani

Similar Writers

our suggestion based on Hasrat Mohani

Similar Moods

As you were reading Justaju Shayari Shayari