pyaar ka pehla khat likhne mein waqt to lagta hai
naye parindon ko udne mein waqt to lagta hai
jism ki baat nahin thi un ke dil tak jaana tha
lambi doori tay karne mein waqt to lagta hai
gaanth agar lag jaaye to phir rishte hon ya dori
laakh karein koshish khulne mein waqt to lagta hai
ham ne ilaaj-e-zakhm-e-dil to dhoondh liya lekin
gehre zakhamon ko bharne mein waqt to lagta hai
प्यार का पहला ख़त लिखने में वक़्त तो लगता है
नए परिंदों को उड़ने में वक़्त तो लगता है
जिस्म की बात नहीं थी उनके दिल तक जाना था
लम्बी दूरी तय करने में वक़्त तो लगता है
गाँठ अगर लग जाए तो फिर रिश्ते हों या डोरी
लाख करें कोशिश खुलने में वक़्त तो लगता है
हमने इलाज-ए-ज़ख़्म-ए-दिल तो ढूँड लिया लेकिन
गहरे ज़ख़्मों को भरने में वक़्त तो लगता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hastimal Hasti
our suggestion based on Hastimal Hasti
As you were reading Faasla Shayari Shayari