bahut gussa bhi ho par maan jaati hai
muhabbat jab muhabbat ko manaati hai
use qismat bahut ziyaada rulaati hai
jise duniya bahut achha bataati hai
jo chalta hai sabhi ko saath le karke
usi kii train akshar chhoot jaati hai
thakaavat door ho jaati hai din bhar kii
meri maa lab jabeen se jab lagati hai
main duniya ke sabhi gham bhool jaata hoon
vo jab bhi paas aakar muskuraati hai
ijaazat ho agar to pooch loon tujhse
mujhe tu raat mein kyun yaad aati hai
mujhe is baat ka hai dukh bahut bhari
rula kar vo mujhe sabko hansaati hai
bhala aankhon mein aansu kyun nahin aayein
meri maashooq mera dil dukhaati hai
sabhi kahte hain daanishmand hai saagar
magar vo aaj bhi paagal bulaati hai
बहुत ग़ुस्सा भी हो पर मान जाती है
मुहब्बत जब मुहब्बत को मनाती है
उसे क़िस्मत बहुत ज़्यादा रुलाती है
जिसे दुनिया बहुत अच्छा बताती है
जो चलता है सभी को साथ ले करके
उसी की ट्रेन अक्सर छूट जाती है
थकावट दूर हो जाती है दिन भर की
मिरी माँ लब जबीं से जब लगाती है
मैं दुनिया के सभी ग़म भूल जाता हूँ
वो जब भी पास आकर मुस्कुराती है
इजाज़त हो अगर तो पूछ लूँ तुझसे
मुझे तू रात में क्यूँ याद आती है
मुझे इस बात का है दुख बहुत भारी
रुला कर वो मुझे सबको हँसाती है
भला आँखों में आँसू क्यूँ नहीं आएँ
मिरी माशूक़ मेरा दिल दुखाती है
सभी कहते हैं दानिशमंद है 'सागर'
मगर वो आज भी पागल बुलाती है
As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput
our suggestion based on Saagar Singh Rajput
As you were reading undefined Shayari