yaad aati hai kisi kii
baat hai kya ye khushi kii
raat jag kar kaatta hoon
ye saza hai aashiqi kii
pyaar ladki bas tira ab
hai zaroorat zindagi kii
sach kahoon to baalpan se
bas tiri hi bandagi kii
sach kahoon to main ne shaayad
dil se apne dillagi kii
lag raha hai kuchh dinon se
hai zaroorat khud-kushi kii
jaan jaayegi qasam se
is muhabbat mein sabhi kii
jeetne kii aarzoo hai
aadmi se aadmi kii
naam lenge sab mera jab
baat hogi be-khudi kii
main ne is ko hai likha par
ye ghazal hai har kisi kii
ab zara izzat karo tum
yaar saagar zindagi kii
याद आती है किसी की
बात है क्या ये ख़ुशी की
रात जग कर काटता हूँ
ये सज़ा है आशिक़ी की
प्यार लड़की बस तिरा अब
है ज़रूरत ज़िंदगी की
सच कहूँ तो बालपन से
बस तिरी ही बंदगी की
सच कहूँ तो मैं ने शायद
दिल से अपने दिल्लगी की
लग रहा है कुछ दिनों से
है ज़रूरत ख़ुद-कुशी की
जान जाएगी क़सम से
इस मुहब्बत में सभी की
जीतने की आरज़ू है
आदमी से आदमी की
नाम लेंगे सब मिरा जब
बात होगी बे-ख़ुदी की
मैं ने इस को है लिखा पर
ये ग़ज़ल है हर किसी की
अब ज़रा इज़्ज़त करो तुम
यार 'सागर' ज़िंदगी की
As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput
our suggestion based on Saagar Singh Rajput
As you were reading undefined Shayari