dil kis ke tasavvur mein jaane raaton ko pareshaan hota hai
ye husn-e-talab ki baat nahin hota hai meri jaan hota hai
ham teri sikhaai mantiq se apne ko to samjha lete hain
ik khaar khatkata rehta hai seene mein jo pinhaan hota hai
phir un ki gali mein pahunchega phir sahv ka sajda kar lega
is dil pe bharosa kaun kare har roz musalmaan hota hai
vo dard ki us ne cheen liya vo dard ki us ki bakshish tha
tanhaai ki raaton mein insha ab bhi mera mehmaan hota hai
दिल किस के तसव्वुर में जाने रातों को परेशाँ होता है
ये हुस्न-ए-तलब की बात नहीं होता है मिरी जाँ होता है
हम तेरी सिखाई मंतिक़ से अपने को तो समझा लेते हैं
इक ख़ार खटकता रहता है सीने में जो पिन्हाँ होता है
फिर उन की गली में पहुँचेगा फिर सहव का सज्दा कर लेगा
इस दिल पे भरोसा कौन करे हर रोज़ मुसलमाँ होता है
वो दर्द कि उस ने छीन लिया वो दर्द कि उस की बख़्शिश था
तन्हाई की रातों में 'इंशा' अब भी मिरा मेहमाँ होता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ibn E Insha
our suggestion based on Ibn E Insha
As you were reading Tasawwur Shayari Shayari