apne hamraah jo aate ho idhar se pehle
dasht padta hai miyaan ishq mein ghar se pehle
chal diye uth ke soo-e-shahr-e-wafa koo-e-habeeb
pooch lena tha kisi khaak-basar se pehle
ishq pehle bhi kiya hijr ka gham bhi dekha
itne tadpe hain na ghabraaye na tarse pehle
jee bahalta hi nahin ab koi sa'at koi pal
raat dhalti hi nahin chaar pahar se pehle
ham kisi dar pe na thitke na kahi dastak di
saikron dar the meri jaan tire dar se pehle
chaand se aankh mili jee ka ujaala jaaga
ham ko sau baar hui subh sehar se pehle
अपने हमराह जो आते हो इधर से पहले
दश्त पड़ता है मियाँ इश्क़ में घर से पहले
चल दिए उठ के सू-ए-शहर-ए-वफ़ा कू-ए-हबीब
पूछ लेना था किसी ख़ाक-बसर से पहले
इश्क़ पहले भी किया हिज्र का ग़म भी देखा
इतने तड़पे हैं न घबराए न तरसे पहले
जी बहलता ही नहीं अब कोई साअ'त कोई पल
रात ढलती ही नहीं चार पहर से पहले
हम किसी दर पे न ठिटके न कहीं दस्तक दी
सैकड़ों दर थे मिरी जाँ तिरे दर से पहले
चाँद से आँख मिली जी का उजाला जागा
हम को सौ बार हुई सुब्ह सहर से पहले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ibn E Insha
our suggestion based on Ibn E Insha
As you were reading Dard Shayari Shayari