jaane tu kya dhoondh raha hai basti mein veeraane mein
leila to ai qais milegi dil ke daulat-khaane mein
janam janam ke saaton dukh hain us ke maathe par tahreer
apna aap mitaana hoga ye tahreer mitaane mein
mehfil mein us shakhs ke hote kaif kahaan se aata hai
paimaane se aankhon mein ya aankhon se paimaane mein
kis ka kis ka haal sunaaya tu ne ai afsaana-go
ham ne ek tujhi ko dhoonda is saare afsaane mein
is basti mein itne ghar the itne chehre itne log
aur kisi ke dar pe na pahuncha aisa hosh deewane mein
जाने तू क्या ढूँढ रहा है बस्ती में वीराने में
लैला तो ऐ क़ैस मिलेगी दिल के दौलत-ख़ाने में
जनम जनम के सातों दुख हैं उस के माथे पर तहरीर
अपना आप मिटाना होगा ये तहरीर मिटाने में
महफ़िल में उस शख़्स के होते कैफ़ कहाँ से आता है
पैमाने से आँखों में या आँखों से पैमाने में
किस का किस का हाल सुनाया तू ने ऐ अफ़्साना-गो
हम ने एक तुझी को ढूँडा इस सारे अफ़्साने में
इस बस्ती में इतने घर थे इतने चेहरे इतने लोग
और किसी के दर पे न पहुँचा ऐसा होश दिवाने में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ibn E Insha
our suggestion based on Ibn E Insha
As you were reading Shehar Shayari Shayari