shaam-e-gham ki sehar nahin hoti | शाम-ए-ग़म की सहर नहीं होती - Ibn E Insha

shaam-e-gham ki sehar nahin hoti
ya humeen ko khabar nahin hoti

hum ne sab dukh jahaan ke dekhe hain
bekli is qadar nahin hoti

naala yun na-rasa nahin rehta
aah yun be-asar nahin hoti

chaand hai kahkashaan hai taare hain
koi shay nama-bar nahin hoti

ek jaan-soz o na-muraad khalish
is taraf hai udhar nahin hoti

dosto ishq hai khata lekin
kya khata darguzar nahin hoti

raat aa kar guzar bhi jaati hai
ik hamaari sehar nahin hoti

be-qaraari sahi nahin jaati
zindagi mukhtasar nahin hoti

ek din dekhne ko aa jaate
ye havas umr bhar nahin hoti

husn sab ko khuda nahin deta
har kisi ki nazar nahin hoti

dil piyaala nahin gadaai ka
aashiqi dar-b-dar nahin hoti

शाम-ए-ग़म की सहर नहीं होती
या हमीं को ख़बर नहीं होती

हम ने सब दुख जहाँ के देखे हैं
बेकली इस क़दर नहीं होती

नाला यूँ ना-रसा नहीं रहता
आह यूँ बे-असर नहीं होती

चाँद है कहकशाँ है तारे हैं
कोई शय नामा-बर नहीं होती

एक जाँ-सोज़ ओ ना-मुराद ख़लिश
इस तरफ़ है उधर नहीं होती

दोस्तो इश्क़ है ख़ता लेकिन
क्या ख़ता दरगुज़र नहीं होती

रात आ कर गुज़र भी जाती है
इक हमारी सहर नहीं होती

बे-क़रारी सही नहीं जाती
ज़िंदगी मुख़्तसर नहीं होती

एक दिन देखने को आ जाते
ये हवस उम्र भर नहीं होती

हुस्न सब को ख़ुदा नहीं देता
हर किसी की नज़र नहीं होती

दिल पियाला नहीं गदाई का
आशिक़ी दर-ब-दर नहीं होती

- Ibn E Insha
1 Like

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ibn E Insha

As you were reading Shayari by Ibn E Insha

Similar Writers

our suggestion based on Ibn E Insha

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari