shehr-e-dil ki galiyon mein | शहर-ए-दिल की गलियों में - Ibn E Insha

shehr-e-dil ki galiyon mein
shaam se bhatkte hain
chaand ke tamannaai
be-qaraar saudaai
dil-gudaaz taarikee
jaan-gudaaz tanhaai

rooh-o-jaan ko dasti hai
rooh-o-jaan mein basti hai
shehr-e-dil ki galiyon mein
taak shab ki belon par
shabnameen sarishkon ki
be-qaraar logon ne
be-shumaar logon ne

yaadgaar chhodi hai
itni baat thodi hai
sad-hazaar baatein theen

heelaa-e-shakebaai
sooraton ki zebaai
kaamton ki ra'naai
un siyaah raaton mein
ek bhi na yaad aayi
jaa-b-jaa bhatkte hain
kis ki raah takte hain
chaand ke tamannaai

ye nagar kabhi pehle
is qadar na veeraan tha
kehne waale kahte hain
qarya-e-nigaaraan tha
khair apne jeene ka
ye bhi ek saamaan tha

aaj dil mein veeraani
abr ban ke ghir aayi
aaj dil ko kya kahiye
ba-wafa na harjaai
phir bhi log deewane
aa gaye hain samjhaane
apni vahshat-e-dil ke
bun liye hain afsaane
khush-khyaal duniya ne

garmiyaan to jaati hain
vo rutein bhi aati hain
jab malool raaton mein
doston ki baaton mein

jee na chain paayega
aur oob jaayega
aahaton se goonjegi
shehr-e-dil ki pinhaai
aur chaand-raaton mein
chaandni ke shaidai
har bahaane niklengay
aarzoo ki giraai
dhoondhne ko ruswaai

sard sard raaton ko
zard chaand bakhshishga
be-hisaab tanhaai
be-hijaab tanhaai
shehr-e-dil ki galiyon mein

शहर-ए-दिल की गलियों में
शाम से भटकते हैं
चाँद के तमन्नाई
बे-क़रार सौदाई
दिल-गुदाज़ तारीकी
जाँ-गुदाज़ तन्हाई

रूह-ओ-जाँ को डसती है
रूह-ओ-जाँ में बस्ती है
शहर-ए-दिल की गलियों में
ताक शब की बेलों पर
शबनमीं सरिश्कों की
बे-क़रार लोगों ने
बे-शुमार लोगों ने

यादगार छोड़ी है
इतनी बात थोड़ी है
सद-हज़ार बातें थीं

हीला-ए-शकेबाई
सूरतों की ज़ेबाई
कामतों की रा'नाई
उन सियाह रातों में
एक भी न याद आई
जा-ब-जा भटकते हैं
किस की राह तकते हैं
चाँद के तमन्नाई

ये नगर कभी पहले
इस क़दर न वीराँ था
कहने वाले कहते हैं
क़र्या-ए-निगाराँ था
ख़ैर अपने जीने का
ये भी एक सामाँ था

आज दिल में वीरानी
अब्र बन के घिर आई
आज दिल को क्या कहिए
बा-वफ़ा न हरजाई
फिर भी लोग दीवाने
आ गए हैं समझाने
अपनी वहशत-ए-दिल के
बुन लिए हैं अफ़्साने
ख़ुश-ख़याल दुनिया ने

गर्मियाँ तो जाती हैं
वो रुतें भी आती हैं
जब मलूल रातों में
दोस्तों की बातों में

जी न चैन पाएगा
और ऊब जाएगा
आहटों से गूँजेगी
शहर-ए-दिल की पिन्हाई
और चाँद-रातों में
चाँदनी के शैदाई
हर बहाने निकलेंगे
आरज़ू की गीराई
ढूँडने को रुस्वाई

सर्द सर्द रातों को
ज़र्द चाँद बख़्शेगा
बे-हिसाब तन्हाई
बे-हिजाब तन्हाई
शहर-ए-दिल की गलियों में

- Ibn E Insha
2 Likes

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ibn E Insha

As you were reading Shayari by Ibn E Insha

Similar Writers

our suggestion based on Ibn E Insha

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari