ye takalluf ye mudaarat samajh mein aaye | ये तकल्लुफ़ ये मुदारात समझ में आए

  - Ibrat Machlishahri

ye takalluf ye mudaarat samajh mein aaye
ho judaai to mulaqaat samajh mein aaye

rooh ki pyaas fuwaaron se kahi bujhti hai
toot ke barase to barsaat samajh mein aaye

jaagte lab mere aur us ki jhapakti aankhen
neend aaye to kahaan baat samajh mein aaye

li thi mauhoom tahaffuz ke gharaunde mein panaah
ret jab bikhri to haalaat samajh mein aaye

ungaliyaan jism ke sab aib-o-hunar jaanti hain
lams jaage to ik ik baat samajh mein aaye

saikron haath mere qatl mein thehre hain shareek
ek do hon to koi baat samajh mein aaye

kabhi utara hi nahin us ke takalluf ka libaas
ho barhana to mulaqaat samajh mein aaye

koi aasaan nahin jal jal ke sehar kar lena
sham'a ban jaao to phir raat samajh mein aaye

tum kisi ret ke teele pe khade ho ibarat
utthe toofaan to phir auqaat samajh mein aaye

ये तकल्लुफ़ ये मुदारात समझ में आए
हो जुदाई तो मुलाक़ात समझ में आए

रूह की प्यास फुवारों से कहीं बुझती है
टूट के बरसे तो बरसात समझ में आए

जागते लब मिरे और उस की झपकती आँखें
नींद आए तो कहाँ बात समझ में आए

ली थी मौहूम तहफ़्फ़ुज़ के घरौंदे में पनाह
रेत जब बिखरी तो हालात समझ में आए

उँगलियाँ जिस्म के सब ऐब-ओ-हुनर जानती हैं
लम्स जागे तो इक इक बात समझ में आए

सैकड़ों हाथ मिरे क़त्ल में ठहरे हैं शरीक
एक दो हों तो कोई बात समझ में आए

कभी उतरा ही नहीं उस के तकल्लुफ़ का लिबास
हो बरहना तो मुलाक़ात समझ में आए

कोई आसाँ नहीं जल जल के सहर कर लेना
शम्अ बन जाओ तो फिर रात समझ में आए

तुम किसी रेत के टीले पे खड़े हो 'इबरत'
उठ्ठे तूफ़ाँ तो फिर औक़ात समझ में आए

  - Ibrat Machlishahri

Paani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ibrat Machlishahri

As you were reading Shayari by Ibrat Machlishahri

Similar Writers

our suggestion based on Ibrat Machlishahri

Similar Moods

As you were reading Paani Shayari Shayari