ajeeb karb-e-musalsal dil-o-nazar mein raha | अजीब कर्ब-ए-मुसलसल दिल-ओ-नज़र में रहा

  - Iffat Zarrin

ajeeb karb-e-musalsal dil-o-nazar mein raha
vo raushni ka musaafir andhere ghar mein raha

vo chaandni ka murqqa nahin tha jugnoo tha
charaagh ban ke jala aur shajar shajar mein raha

kahavaton ki tarah vo bhi shahr-e-ma'ani tha
bujha bujha sa diya jo kisi khandar mein raha

vo jis ko khoj saraabo mein thi samundar ki
vo apne dasht-e-dil-o-jaan ki raahguzaar mein raha

wahi to naqsh-e-qadam the jo saare mitte gaye
vo daagh-e-sajda tha baaki jo sang-e-dar mein raha

yahi tilism tha zarrein jise na tod saki
vujood us ka to taqdeer ke bhanwar mein raha

अजीब कर्ब-ए-मुसलसल दिल-ओ-नज़र में रहा
वो रौशनी का मुसाफ़िर अँधेरे घर में रहा

वो चाँदनी का मुरक़्क़ा' नहीं था जुगनू था
चराग़ बन के जला और शजर शजर में रहा

कहावतों की तरह वो भी शहर-ए-मा'नी था
बुझा बुझा सा दिया जो किसी खंडर में रहा

वो जिस को खोज सराबों में थी समुंदर की
वो अपने दश्त-ए-दिल-ओ-जाँ की रहगुज़र में रहा

वही तो नक़्श-ए-क़दम थे जो सारे मिटते गए
वो दाग़-ए-सज्दा था बाक़ी जो संग-ए-दर में रहा

यही तिलिस्म था 'ज़र्रीं' जिसे न तोड़ सकी
वजूद उस का तो तक़दीर के भँवर में रहा

  - Iffat Zarrin

Musafir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iffat Zarrin

As you were reading Shayari by Iffat Zarrin

Similar Writers

our suggestion based on Iffat Zarrin

Similar Moods

As you were reading Musafir Shayari Shayari