be-samt raaston pe sada le gai mujhe
aahat magar junoon ki bacha le gai mujhe
patthar ke jism mom ke chehre dhuaan dhuaan
kis shehar mein uda ke hawa le gai mujhe
maathe pe us ke dekh ke laali sindoor ki
zakhamon ki anjuman mein hina le gai mujhe
khushboo pighalte lamhon ki saanson mein kho gai
khushboo ki vaadiyon mein saba le gai mujhe
jo log bheek dete hain chehre ko dekh kar
zarrein unhin ke dar pe ana le gai mujhe
बे-सम्त रास्तों पे सदा ले गई मुझे
आहट मगर जुनूँ की बचा ले गई मुझे
पत्थर के जिस्म मोम के चेहरे धुआँ धुआँ
किस शहर में उड़ा के हवा ले गई मुझे
माथे पे उस के देख के लाली सिंदूर की
ज़ख़्मों की अंजुमन में हिना ले गई मुझे
ख़ुशबू पिघलते लम्हों की साँसों में खो गई
ख़ुशबू की वादियों में सबा ले गई मुझे
जो लोग भीक देते हैं चेहरे को देख कर
'ज़र्रीं' उन्हीं के दर पे अना ले गई मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iffat Zarrin
our suggestion based on Iffat Zarrin
As you were reading Hawa Shayari Shayari