khuda-wand mujhe taufeeq de main aise zinda lafz likkhoon
jo na likkhoon main to duniya baanjh ho jaaye
magar phir sochta hoon itne zinda lafz likkhe ja chuke hain
aur likhe ja rahe hain
main bhi likh loonga to kya ho jaayega
kya ye puraana aadmi phir se naya ho jaayega
ya doosra ho jaayega
ख़ुदावंद मुझे तौफ़ीक़ दे मैं ऐसे ज़िंदा लफ़्ज़ लिक्खूँ
जो न लिक्खूँ मैं तो दुनिया बाँझ हो जाए
मगर फिर सोचता हूँ इतने ज़िंदा लफ़्ज़ लिक्खे जा चुके हैं
और लिखे जा रहे हैं
मैं भी लिख लूँगा तो क्या हो जाएगा
क्या ये पुराना आदमी फिर से नया हो जाएगा
या दूसरा हो जाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Arif
our suggestion based on Iftikhar Arif
As you were reading Insaan Shayari Shayari