zameen-e-sang se suraj ugaane waale haath | ज़मीन-ए-संग से सूरज उगाने वाले हाथ

  - Iftikhar Arif

zameen-e-sang se suraj ugaane waale haath
kise khabar thi ki us shehar mein qalam honge
jahaan se parcham-e-dast-e-hunar buland hua
zameen aqeeda-e-farda se laala-rang hui
ufuq sitaara-e-mehnat se arjumand hua
aur ab ke baar qalam bhi unhin ke saath rahe
jo apni fateh ke nashshe mein choor nakhwat se
dureeda-daamani-e-ahl-e-dil pe hanste hain
fughan-e-qaafila-e-muzmahil pe hanste hain

ज़मीन-ए-संग से सूरज उगाने वाले हाथ
किसे ख़बर थी कि उस शहर में क़लम होंगे
जहाँ से परचम-ए-दस्त-ए-हुनर बुलंद हुआ
ज़मीं अक़ीदा-ए-फ़र्दा से लाला-रंग हुई
उफ़ुक़ सितारा-ए-मेहनत से अर्जमंद हुआ
और अब के बार क़लम भी उन्हीं के साथ रहे
जो अपनी फ़तह के नश्शे में चूर नख़वत से
दुरीदा-दामनी-ए-अहल-ए-दिल पे हँसते हैं
फ़ुग़ान-ए-क़ाफ़िला-ए-मुज़्महिल पे हँसते हैं

  - Iftikhar Arif

Akhbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Arif

As you were reading Shayari by Iftikhar Arif

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Arif

Similar Moods

As you were reading Akhbaar Shayari Shayari