tum ne jo phool mujhe ruksat hote waqt diya tha
vo nazm main ne tumhaari yaadon ke saath lifaafe mein band kar ke rakh di thi
aaj dinon baad bahut akela main use khol kar dekha hai
phool ki nau pankhudiyaan hain
nazm ke nau misre
yaadein bhi kaisi ajeeb hoti hain
pehli pankhudi yaad dilaati hai us lamhe ki jab main ne
pehli baar tumhein bhari mehfil mein apni taraf musalsal takte hue dekh liya tha
doosri pankhudi jab ham pehli baar ek doosre ko kuchh kahe baghair
bas yoonhi jaan bujh kar nazar bachaate hue ek raahdaari se guzar gaye the
phir teesri baar jab ham aachaanak ek mod par kahi mile
aur ham ne bahut saari baatein keen aur bahut saare baras
ek saath pal mein guzaar diye
aur chauthi baar
ab main bhoolne laga hoon
bahut dinon se thehri hui udaasi ki wajah se shaayad
kuchh log kahte hain udaasi tanhaai ki kokh se janam leti hai
mumkin hai theek kahte hon
kuchh log kahte hain bahut tanhaa rahna bhi udaasi ka sabab ban jaata hai
mumkin hai ye bhi theek ho
mumkin hai tum aao to bhooli hui saari baatein phir se yaad aa jaayen
mumkin hai tum aao to vo baatein bhi main bhool chuka hoon jo abhi mujhe yaad hain
yaadon ke baare mein aur udaasi ke baare mein aur tanhaai ke baare mein
koi baat yaqeen se nahin kahi ja sakti
तुम ने जो फूल मुझे रुख़्सत होते वक़्त दिया था
वो नज़्म मैं ने तुम्हारी यादों के साथ लिफ़ाफ़े में बंद कर के रख दी थी
आज दिनों बाद बहुत अकेले मैं उसे खोल कर देखा है
फूल की नौ पंखुड़ियाँ हैं
नज़्म के नौ मिसरे
यादें भी कैसी अजीब होती हैं
पहली पंखुड़ी याद दिलाती है उस लम्हे की जब मैं ने
पहली बार तुम्हें भरी महफ़िल में अपनी तरफ़ मुसलसल तकते हुए देख लिया था
दूसरी पंखुड़ी जब हम पहली बार एक दूसरे को कुछ कहे बग़ैर
बस यूँही जान बूझ कर नज़र बचाते हुए एक राहदारी से गुज़र गए थे
फिर तीसरी बार जब हम आचानक एक मोड़ पर कहीं मिले
और हम ने बहुत सारी बातें कीं और बहुत सारे बरस
एक साथ पल में गुज़ार दिए
और चौथी बार
अब मैं भूलने लगा हूँ
बहुत दिनों से ठहरी हुई उदासी की वजह से शायद
कुछ लोग कहते हैं उदासी तन्हाई की कोख से जनम लेती है
मुमकिन है ठीक कहते हों
कुछ लोग कहते हैं बहुत तन्हा रहना भी उदासी का सबब बन जाता है
मुमकिन है ये भी ठीक हो
मुमकिन है तुम आओ तो भूली हुई सारी बातें फिर से याद आ जाएँ
मुमकिन है तुम आओ तो वो बातें भी मैं भूल चुका हूँ जो अभी मुझे याद हैं
यादों के बारे में और उदासी के बारे में और तन्हाई के बारे में
कोई बात यक़ीन से नहीं कही जा सकती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Arif
our suggestion based on Iftikhar Arif
As you were reading Waqt Shayari Shayari