teri aankhon ki chamak bas aur ik pal hai abhi | तेरी आँखों की चमक बस और इक पल है अभी

  - Iftikhar Naseem

teri aankhon ki chamak bas aur ik pal hai abhi
dekh le is chaand ko kuchh door baadal hai abhi

aankh to khud ko naye chehron mein kho kar rah gai
dil magar us shakhs ke jaane se bojhal hai abhi

ab talak chehre pe hain toofaan guzarne ke nishaan
tah mein patthar ja chuka paani pe halchal hai abhi

tu to un ka bhi gila karta hai jo tere na the
tu ne dekha hi nahin kuchh bhi tu paagal hai abhi

kar gaya suraj mujhe tanhaa kahaan la kar naseem
kya karoon main raaste mein shab ka jungle hai abhi

तेरी आँखों की चमक बस और इक पल है अभी
देख ले इस चाँद को कुछ दूर बादल है अभी

आँख तो ख़ुद को नए चेहरों में खो कर रह गई
दिल मगर उस शख़्स के जाने से बोझल है अभी

अब तलक चेहरे पे हैं तूफ़ाँ गुज़रने के निशाँ
तह में पत्थर जा चुका पानी पे हलचल है अभी

तू तो उन का भी गिला करता है जो तेरे न थे
तू ने देखा ही नहीं कुछ भी तू पागल है अभी

कर गया सूरज मुझे तन्हा कहाँ ला कर 'नसीम'
क्या करूँ मैं रास्ते में शब का जंगल है अभी

  - Iftikhar Naseem

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Naseem

As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Naseem

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari