tum se fursat mile tab to socha karein | तुम से फु़र्सत मिले तब तो सोचा करें

  - S M Afzal Imam

tum se fursat mile tab to socha karein
kya nahin ham karein aur kya kya karein

hai hamaare khyaalon mein do kaam hi
tumko dekha karein aur dekha karein

chaai peete hue teri aankhen padhen
aur phir teri aankhon pe charcha karein

tu ne achha kiya jo sahaara diya
par zaroori nahin ham bhi achha karein

haan mohabbat hai dono taraf se magar
aap ko chahiye ham se parda karein

meri khwaahish hai jab aap afzal milen
phool har martaba saath laaya karein

तुम से फु़र्सत मिले तब तो सोचा करें
क्या नहींं हम करें और क्या क्या करें

है हमारे ख़्यालों में दो काम ही
तुमको देखा करें और देखा करें

चाय पीते हुए तेरी आँखें पढ़ें
और फिर तेरी आँखों पे चर्चा करें

तू ने अच्छा किया जो सहारा दिया
पर ज़रूरी नहीं हम भी अच्छा करें

हाँ मोहब्बत है दोनों तरफ़ से मगर
आप को चाहिए हम से पर्दा करें

मेरी ख़्वाहिश है जब आप अफ़ज़ल मिलें
फूल हर मर्तबा साथ लाया करें

  - S M Afzal Imam

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by S M Afzal Imam

As you were reading Shayari by S M Afzal Imam

Similar Writers

our suggestion based on S M Afzal Imam

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari