aahat si koi aaye to lagta hai ki tum ho | आहट सी कोई आए तो लगता है कि तुम हो

  - Jaan Nisar Akhtar

aahat si koi aaye to lagta hai ki tum ho
saaya koi lehraaye to lagta hai ki tum ho

jab shaakh koi haath lagaate hi chaman mein
sharmaae lachak jaaye to lagta hai ki tum ho

sandal se mehkati hui pur-kaif hawa ka
jhonka koi takraaye to lagta hai ki tum ho

odhe hue taaron ki chamakti hui chadar
naddi koi bal khaaye to lagta hai ki tum ho

jab raat gaye koi kiran mere barabar
chup-chaap si so jaaye to lagta hai ki tum ho

आहट सी कोई आए तो लगता है कि तुम हो
साया कोई लहराए तो लगता है कि तुम हो

जब शाख़ कोई हाथ लगाते ही चमन में
शरमाए लचक जाए तो लगता है कि तुम हो

संदल से महकती हुई पुर-कैफ़ हवा का
झोंका कोई टकराए तो लगता है कि तुम हो

ओढ़े हुए तारों की चमकती हुई चादर
नद्दी कोई बल खाए तो लगता है कि तुम हो

जब रात गए कोई किरन मेरे बराबर
चुप-चाप सी सो जाए तो लगता है कि तुम हो

  - Jaan Nisar Akhtar

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaan Nisar Akhtar

As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari