tu is qadar mujhe apne qareeb lagta hai
tujhe alag se jo sochun ajeeb lagta hai
jise na husn se matlab na ishq se sarokaar
vo shakhs mujh ko bahut bad-naseeb lagta hai
hudood-e-zaat se baahar nikal ke dekh zara
na koi gair na koi raqeeb lagta hai
ye dosti ye maraasim ye chahten ye khuloos
kabhi kabhi mujhe sab kuchh ajeeb lagta hai
ufuq pe door chamakta hua koi taara
mujhe charaagh-e-diyaar-e-habeeb lagta hai
तू इस क़दर मुझे अपने क़रीब लगता है
तुझे अलग से जो सोचूँ अजीब लगता है
जिसे न हुस्न से मतलब न इश्क़ से सरोकार
वो शख़्स मुझ को बहुत बद-नसीब लगता है
हुदूद-ए-ज़ात से बाहर निकल के देख ज़रा
न कोई ग़ैर न कोई रक़ीब लगता है
ये दोस्ती ये मरासिम ये चाहतें ये ख़ुलूस
कभी कभी मुझे सब कुछ अजीब लगता है
उफ़ुक़ पे दूर चमकता हुआ कोई तारा
मुझे चराग़-ए-दयार-ए-हबीब लगता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar
our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar
As you were reading Jalwa Shayari Shayari