kaam ki baat main ne ki hi nahin
ye mera taur-e-zindagi hi nahin
ai umeed ai umeed-e-nau-maidaan
mujh se mayyat tiri uthi hi nahin
main jo tha us gali ka mast-e-khiraam
us gali mein meri chali hi nahin
ye suna hai ki mere kooch ke ba'ad
us ki khushboo kahi basi hi nahin
thi jo ik faakhta udaas udaas
subh vo shaakh se udri hi nahin
mujh mein ab mera jee nahin lagta
aur sitam ye ki mera jee hi nahin
vo jo rahti thi dil-mohalle mein
phir vo ladki mujhe mili hi nahin
jaaie aur khaak udaaiye aap
ab vo ghar kya ki vo gali hi nahin
haaye vo shauq jo nahin tha kabhi
haaye vo zindagi jo thi hi nahin
काम की बात मैं ने की ही नहीं
ये मिरा तौर-ए-ज़िंदगी ही नहीं
ऐ उमीद ऐ उमीद-ए-नौ-मैदां
मुझ से मय्यत तिरी उठी ही नहीं
मैं जो था उस गली का मस्त-ए-ख़िराम
उस गली में मिरी चली ही नहीं
ये सुना है कि मेरे कूच के बा'द
उस की ख़ुश्बू कहीं बसी ही नहीं
थी जो इक फ़ाख़्ता उदास उदास
सुब्ह वो शाख़ से उड़ी ही नहीं
मुझ में अब मेरा जी नहीं लगता
और सितम ये कि मेरा जी ही नहीं
वो जो रहती थी दिल-मोहल्ले में
फिर वो लड़की मुझे मिली ही नहीं
जाइए और ख़ाक उड़ाइए आप
अब वो घर क्या कि वो गली ही नहीं
हाए वो शौक़ जो नहीं था कभी
हाए वो ज़िंदगी जो थी ही नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaun Elia
our suggestion based on Jaun Elia
As you were reading Breakup Motivation Shayari Shayari