zabt kar ke hasi ko bhool gaya | ज़ब्त कर के हँसी को भूल गया - Jaun Elia

zabt kar ke hasi ko bhool gaya
main to us zakham hi ko bhool gaya

zaat-dar-zaat hum-safar rah kar
ajnabi ajnabi ko bhool gaya

subh tak wajh-e-jaan-kani thi jo baat
main use shaam hi ko bhool gaya

ahd-e-wabastagi guzaar ke main
wajh-e-wabastagi ko bhool gaya

kyun na ho naaz is zehaanat par
ek main har kisi ko bhool gaya

sab daleelen to mujh ko yaad raheen
bahs kya thi usi ko bhool gaya

sab se pur-amn waqia ye hai
aadmi aadmi ko bhool gaya

qahqaha maarte hi deewaana
har gham-e-zindagi ko bhool gaya

khwaab-ha-khwaab jis ko chaaha tha
rang-ha-rang usi ko bhool gaya

kya qayamat hui agar ik shakhs
apni khush-qismati ko bhool gaya

soch kar us ki khalvat-anjumani
waan main apni kami ko bhool gaya

sab bure mujh ko yaad rahte hain
jo bhala tha usi ko bhool gaya

un se wa'da to kar liya lekin
apni kam-fursati ko bhool gaya

bastiyo ab to raasta de do
ab to main us gali ko bhool gaya

us ne goya mujhi ko yaad rakha
main bhi goya usi ko bhool gaya

ya'ni tum vo ho waqai had hai
main to sach-much sabhi ko bhool gaya

aakhiri but khuda na kyun thehre
but-shikan but-gari ko bhool gaya

ab to har baat yaad rahti hai
ghaliban main kisi ko bhool gaya

us ki khushiyon se jalne waala jaun
apni eeza-dahee ko bhool gaya

ज़ब्त कर के हँसी को भूल गया
मैं तो उस ज़ख़्म ही को भूल गया

ज़ात-दर-ज़ात हम-सफ़र रह कर
अजनबी अजनबी को भूल गया

सुब्ह तक वज्ह-ए-जाँ-कनी थी जो बात
मैं उसे शाम ही को भूल गया

अहद-ए-वाबस्तगी गुज़ार के मैं
वज्ह-ए-वाबस्तगी को भूल गया

क्यूँ न हो नाज़ इस ज़ेहानत पर
एक मैं हर किसी को भूल गया

सब दलीलें तो मुझ को याद रहीं
बहस क्या थी उसी को भूल गया

सब से पुर-अम्न वाक़िआ ये है
आदमी आदमी को भूल गया

क़हक़हा मारते ही दीवाना
हर ग़म-ए-ज़िंदगी को भूल गया

ख़्वाब-हा-ख़्वाब जिस को चाहा था
रंग-हा-रंग उसी को भूल गया

क्या क़यामत हुई अगर इक शख़्स
अपनी ख़ुश-क़िस्मती को भूल गया

सोच कर उस की ख़ल्वत-अंजुमनी
वाँ मैं अपनी कमी को भूल गया

सब बुरे मुझ को याद रहते हैं
जो भला था उसी को भूल गया

उन से वा'दा तो कर लिया लेकिन
अपनी कम-फ़ुर्सती को भूल गया

बस्तियो अब तो रास्ता दे दो
अब तो मैं उस गली को भूल गया

उस ने गोया मुझी को याद रखा
मैं भी गोया उसी को भूल गया

या'नी तुम वो हो वाक़ई? हद है
मैं तो सच-मुच सभी को भूल गया

आख़िरी बुत ख़ुदा न क्यूँ ठहरे
बुत-शिकन बुत-गरी को भूल गया

अब तो हर बात याद रहती है
ग़ालिबन मैं किसी को भूल गया

उस की ख़ुशियों से जलने वाला 'जौन'
अपनी ईज़ा-दही को भूल गया

- Jaun Elia
25 Likes

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaun Elia

As you were reading Shayari by Jaun Elia

Similar Writers

our suggestion based on Jaun Elia

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari