kal jahaan deewaar thi hai aaj ik dar dekhiye | कल जहाँ दीवार थी है आज इक दर देखिए

  - Javed Akhtar

kal jahaan deewaar thi hai aaj ik dar dekhiye
kya samaai thi bhala deewane ke sar dekhiye

pur-sukoon lagti hai kitni jheel ke paani pe bat
pairo'n ki be-taabiyaan paani ke andar dekhiye

chhod kar jis ko gaye the aap koi aur tha
ab main koi aur hoon waapas to aa kar dekhiye

zehn-e-insaani idhar aafaq ki wus'at udhar
ek manzar hai yahan andar ki baahar dekhiye

aql ye kahti duniya milti hai bazaar mein
dil magar ye kehta hai kuchh aur behtar dekhiye

कल जहाँ दीवार थी है आज इक दर देखिए
क्या समाई थी भला दीवाने के सर देखिए

पुर-सुकूँ लगती है कितनी झील के पानी पे बत
पैरों की बे-ताबियाँ पानी के अंदर देखिए

छोड़ कर जिस को गए थे आप कोई और था
अब मैं कोई और हूँ वापस तो आ कर देखिए

ज़ेहन-ए-इंसानी इधर आफ़ाक़ की वुसअत उधर
एक मंज़र है यहाँ अंदर कि बाहर देखिए

अक़्ल ये कहती दुनिया मिलती है बाज़ार में
दिल मगर ये कहता है कुछ और बेहतर देखिए

  - Javed Akhtar

Nazara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Akhtar

As you were reading Shayari by Javed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Javed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Nazara Shayari Shayari