daastaan-e-gham-e-dil un ko sunaai na gai | दास्तान-ए-ग़म-ए-दिल उन को सुनाई न गई

  - Jigar Moradabadi

daastaan-e-gham-e-dil un ko sunaai na gai
baat bigdi thi kuchh aisi ki banaai na gai

sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai

ishq par kuchh na chala deeda-e-tar ka qaabu
us ne jo aag laga di vo bujhaai na gai

pad gaya husn-e-rukh-e-yaar ka partav jis par
khaak mein mil ke bhi is dil ki safaai na gai

kya uthaaegi saba khaak meri us dar se
ye qayamat to khud un se bhi uthaai na gai

दास्तान-ए-ग़म-ए-दिल उन को सुनाई न गई
बात बिगड़ी थी कुछ ऐसी कि बनाई न गई

सब को हम भूल गए जोश-ए-जुनूँ में लेकिन
इक तिरी याद थी ऐसी जो भुलाई न गई

इश्क़ पर कुछ न चला दीदा-ए-तर का क़ाबू
उस ने जो आग लगा दी वो बुझाई न गई

पड़ गया हुस्न-ए-रुख़-ए-यार का परतव जिस पर
ख़ाक में मिल के भी इस दिल की सफ़ाई न गई

क्या उठाएगी सबा ख़ाक मिरी उस दर से
ये क़यामत तो ख़ुद उन से भी उठाई न गई

  - Jigar Moradabadi

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jigar Moradabadi

As you were reading Shayari by Jigar Moradabadi

Similar Writers

our suggestion based on Jigar Moradabadi

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari