kuchh is ada se aaj vo pahlu-nshiin rahe | कुछ इस अदा से आज वो पहलू-नशीं रहे

  - Jigar Moradabadi

kuchh is ada se aaj vo pahlu-nshiin rahe
jab tak hamaare paas rahe ham nahin rahe

eemaan-o-kufr aur na duniya-o-deen rahe
ai ishq-e-shaad-baash ki tanhaa humeen rahe

aalam jab ek haal pe qaaim nahin rahe
kya khaak e'tibaar-e-nigaah-e-yaqeen rahe

meri zabaan pe shikwa-e-dard-aafreen rahe
shaayad mere hawas thikaane nahin rahe

jab tak ilaahi jism mein jaan-e-hazeen rahe
nazrein meri jawaan rahein dil haseen rahe

ya-rab kisi ke raaz-e-mohabbat ki khair ho
dast-e-junoon rahe na rahe aasteen rahe

taa-chand josh-e-ishq mein dil ki hifaazaten
meri bala se ab vo junooni kahi rahe

ja aur koi zabt ki duniya talash kar
ai ishq ham to ab tire qaabil nahin rahe

mujh ko nahin qubool do-aalam ki wusaaten
qismat mein ku-e-yaar ki do-gaz zameen rahe

ai ishq-e-naala-kash tiri ghairat ko kya hua
hai hai arq arq vo tan-e-naazneen rahe

dard-o-gham-e-firaq ke ye sakht marhale
hairaan hoon main ki phir bhi tum itne haseen rahe

allaah-re chashm-e-yaar ki mojiz-bayaaniyaan
har ik ko hai gumaan ki mukhaatib humeen rahe

zalim utha tu parda-e-vahm-o-gumaan-o-fikr
kya saamne vo marhala-haaye-yaqeen rahe

zaat-o-sifaat-e-husn ka aalam nazar mein hai
mahdood-e-sajda kya mera zauq-e-jabeen rahe

kis dard se kisi ne kaha aaj bazm mein
achha ye hai vo nang-e-mohabbat yahin rahe

sar-daadgaan-e-ishq-o-mohabbat ki kya kami
qaateel ki teg tez khuda ki zameen rahe

is ishq ki talaafi-e-maafaat dekhna
rone ki hasratein hain jab aansu nahin rahe

कुछ इस अदा से आज वो पहलू-नशीं रहे
जब तक हमारे पास रहे हम नहीं रहे

ईमान-ओ-कुफ़्र और न दुनिया-ओ-दीं रहे
ऐ इश्क़-ए-शाद-बाश कि तन्हा हमीं रहे

आलम जब एक हाल पे क़ाएम नहीं रहे
क्या ख़ाक ए'तिबार-ए-निगाह-ए-यक़ीं रहे

मेरी ज़बाँ पे शिकवा-ए-दर्द-आफ़रीं रहे
शायद मिरे हवास ठिकाने नहीं रहे

जब तक इलाही जिस्म में जान-ए-हज़ीं रहे
नज़रें मिरी जवान रहें दिल हसीं रहे

या-रब किसी के राज़-ए-मोहब्बत की ख़ैर हो
दस्त-ए-जुनूँ रहे न रहे आस्तीं रहे

ता-चंद जोश-ए-इश्क़ में दिल की हिफ़ाज़तें
मेरी बला से अब वो जुनूनी कहीं रहे

जा और कोई ज़ब्त की दुनिया तलाश कर
ऐ इश्क़ हम तो अब तिरे क़ाबिल नहीं रहे

मुझ को नहीं क़ुबूल दो-आलम की वुसअतें
क़िस्मत में कू-ए-यार की दो-गज़ ज़मीं रहे

ऐ इश्क़-ए-नाला-कश तिरी ग़ैरत को क्या हुआ
है है अरक़ अरक़ वो तन-ए-नाज़नीं रहे

दर्द-ओ-ग़म-ए-फ़िराक के ये सख़्त मरहले
हैराँ हूँ मैं कि फिर भी तुम इतने हसीं रहे

अल्लाह-रे चश्म-ए-यार की मोजिज़-बयानियाँ
हर इक को है गुमाँ कि मुख़ातिब हमीं रहे

ज़ालिम उठा तू पर्दा-ए-वहम-ओ-गुमान-ओ-फ़िक्र
क्या सामने वो मरहला-हाए-यक़ीं रहे

ज़ात-ओ-सिफ़ात-ए-हुस्न का आलम नज़र में है
महदूद-ए-सज्दा क्या मिरा ज़ौक़-ए-जबीं रहे

किस दर्द से किसी ने कहा आज बज़्म में
अच्छा ये है वो नंग-ए-मोहब्बत यहीं रहे

सर-दादगान-ए-इश्क़-ओ-मोहब्बत की क्या कमी
क़ातिल की तेग़ तेज़ ख़ुदा की ज़मीं रहे

इस इश्क़ की तलाफ़ी-ए-माफ़ात देखना
रोने की हसरतें हैं जब आँसू नहीं रहे

  - Jigar Moradabadi

Kismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jigar Moradabadi

As you were reading Shayari by Jigar Moradabadi

Similar Writers

our suggestion based on Jigar Moradabadi

Similar Moods

As you were reading Kismat Shayari Shayari