sabhi andaaz-e-husn pyaare hain | सभी अंदाज़-ए-हुस्न प्यारे हैं

  - Jigar Moradabadi

sabhi andaaz-e-husn pyaare hain
ham magar saadgi ke maare hain

us ki raaton ka intiqaam na pooch
jis ne hans hans ke din guzaare hain

ai sahaaron ki zindagi waalo
kitne insaan be-sahaare hain

laala-o-gul se tujh ko kya nisbat
naa-mukammal se isti'aare hain

ham to ab doob kar hi ubharenge
vo rahein shaad jo kinaare hain

shab-e-furqat bhi jagmaga utthi
ashk-e-gham hain ki maah-paare hain

aatish-e-ishq vo jahannam hai
jis mein firdaus ke nazaare hain

vo humeen hain ki jin ke haathon ne
gesu-e-zindagi sanwaare hain

husn ki be-niyaaziyo pe na ja
be-ishaare bhi kuchh ishaare hain

सभी अंदाज़-ए-हुस्न प्यारे हैं
हम मगर सादगी के मारे हैं

उस की रातों का इंतिक़ाम न पूछ
जिस ने हँस हँस के दिन गुज़ारे हैं

ऐ सहारों की ज़िंदगी वालो
कितने इंसान बे-सहारे हैं

लाला-ओ-गुल से तुझ को क्या निस्बत
ना-मुकम्मल से इस्तिआ'रे हैं

हम तो अब डूब कर ही उभरेंगे
वो रहें शाद जो किनारे हैं

शब-ए-फ़ुर्क़त भी जगमगा उट्ठी
अश्क-ए-ग़म हैं कि माह-पारे हैं

आतिश-ए-इश्क़ वो जहन्नम है
जिस में फ़िरदौस के नज़ारे हैं

वो हमीं हैं कि जिन के हाथों ने
गेसू-ए-ज़िंदगी सँवारे हैं

हुस्न की बे-नियाज़ियों पे न जा
बे-इशारे भी कुछ इशारे हैं

  - Jigar Moradabadi

Husn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jigar Moradabadi

As you were reading Shayari by Jigar Moradabadi

Similar Writers

our suggestion based on Jigar Moradabadi

Similar Moods

As you were reading Husn Shayari Shayari