kiya ta'ajjub ki meri rooh-e-ravaan tak pahunchen | किया तअज्जुब कि मिरी रूह-ए-रवाँ तक पहुँचे

  - Jigar Moradabadi

kiya ta'ajjub ki meri rooh-e-ravaan tak pahunchen
pehle koi mere nagmon ki zabaan tak pahunchen

jab har ik shorish-e-gham zabt-e-fughaan tak pahunchen
phir khuda jaane ye hangaama kahaan tak pahunchen

aankh tak dil se na aaye na zabaan tak pahunchen
baat jis ki hai usi aafat-e-jaan tak pahunchen

tu jahaan par tha bahut pehle wahin aaj bhi hai
dekh rindaan-e-khush-anfaas kahaan tak pahunchen

jo zamaane ko bura kahte hain khud hain vo bure
kaash ye baat tire gosh-e-giraan tak pahunchen

badh ke rindon ne qadam hazrat-e-waaiz ke liye
girte padte jo dar-e-peer-e-mugaan tak pahunchen

tu mere haal-e-pareshaan pe bahut tanj na kar
apne gesu bhi zara dekh kahaan tak pahunchen

un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanen
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunchen

ishq ki chot dikhaane mein kahi aati hai
kuchh ishaare the ki jo lafz-o-bayaan tak pahunchen

jalwe betaab the jo parda-e-fitrat mein jigar
khud tadap kar meri chashm-e-nigaraan tak pahunchen

किया तअज्जुब कि मिरी रूह-ए-रवाँ तक पहुँचे
पहले कोई मिरे नग़्मों की ज़बाँ तक पहुँचे

जब हर इक शोरिश-ए-ग़म ज़ब्त-ए-फ़ुग़ाँ तक पहुँचे
फिर ख़ुदा जाने ये हंगामा कहाँ तक पहुँचे

आँख तक दिल से न आए न ज़बाँ तक पहुँचे
बात जिस की है उसी आफ़त-ए-जाँ तक पहुँचे

तू जहाँ पर था बहुत पहले वहीं आज भी है
देख रिंदान-ए-ख़ुश-अन्फ़ास कहाँ तक पहुँचे

जो ज़माने को बुरा कहते हैं ख़ुद हैं वो बुरे
काश ये बात तिरे गोश-ए-गिराँ तक पहुँचे

बढ़ के रिंदों ने क़दम हज़रत-ए-वाइज़ के लिए
गिरते पड़ते जो दर-ए-पीर-ए-मुग़ाँ तक पहुँचे

तू मिरे हाल-ए-परेशाँ पे बहुत तंज़ न कर
अपने गेसू भी ज़रा देख कहाँ तक पहुँचे

उन का जो फ़र्ज़ है वो अहल-ए-सियासत जानें
मेरा पैग़ाम मोहब्बत है जहाँ तक पहुँचे

इश्क़ की चोट दिखाने में कहीं आती है
कुछ इशारे थे कि जो लफ़्ज़-ओ-बयाँ तक पहुँचे

जल्वे बेताब थे जो पर्दा-ए-फ़ितरत में 'जिगर'
ख़ुद तड़प कर मिरी चश्म-ए-निगराँ तक पहुँचे

  - Jigar Moradabadi

Zakhm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jigar Moradabadi

As you were reading Shayari by Jigar Moradabadi

Similar Writers

our suggestion based on Jigar Moradabadi

Similar Moods

As you were reading Zakhm Shayari Shayari