be-kaif dil hai aur jiye ja raha hoon main
khaali hai sheesha aur piye ja raha hoon main
paiham jo aah aah kiye ja raha hoon main
daulat hai gham zakaat diye ja raha hoon main
majboori-e-kamaal-e-mohabbat to dekhna
jeena nahin qubool jiye ja raha hoon main
vo dil kahaan hai ab ki jise pyaar kijie
majbooriyaan hain saath diye ja raha hoon main
ruksat hui shabaab ke hamraah zindagi
kehne ki baat hai ki jiye ja raha hoon main
pehle sharaab zeest thi ab zeest hai sharaab
koi pila raha hai piye ja raha hoon main
बे-कैफ़ दिल है और जिए जा रहा हूँ मैं
ख़ाली है शीशा और पिए जा रहा हूँ मैं
पैहम जो आह आह किए जा रहा हूँ मैं
दौलत है ग़म ज़कात दिए जा रहा हूँ मैं
मजबूरी-ए-कमाल-ए-मोहब्बत तो देखना
जीना नहीं क़ुबूल जिए जा रहा हूँ मैं
वो दिल कहाँ है अब कि जिसे प्यार कीजिए
मजबूरियाँ हैं साथ दिए जा रहा हूँ मैं
रुख़्सत हुई शबाब के हमराह ज़िंदगी
कहने की बात है कि जिए जा रहा हूँ मैं
पहले शराब ज़ीस्त थी अब ज़ीस्त है शराब
कोई पिला रहा है पिए जा रहा हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jigar Moradabadi
our suggestion based on Jigar Moradabadi
As you were reading Nasha Shayari Shayari