aankhon mein bas ke dil mein samaa kar chale gaye | आँखों में बस के दिल में समा कर चले गए

  - Jigar Moradabadi

aankhon mein bas ke dil mein samaa kar chale gaye
khwaabida zindagi thi jaga kar chale gaye

husn-e-azal ki shaan dikha kar chale gaye
ik waqia sa yaad dila kar chale gaye

chehre tak aasteen vo la kar chale gaye
kya raaz tha ki jis ko chhupa kar chale gaye

rag rag mein is tarah vo samaa kar chale gaye
jaise mujhi ko mujh se chura kar chale gaye

meri hayaat-e-ishq ko de kar junoon-e-shauq
mujh ko tamaam hosh bana kar chale gaye

samjha ke pastiyaan mere ouj-e-kamaal ki
apni bulandiyaan vo dikha kar chale gaye

apne farogh-e-husn ki dikhla ke wusa'aten
mere hudood-e-shauq badha kar chale gaye

har shay ko meri khaatir-e-naashaad ke liye
aainaa-e-jamaal bana kar chale gaye

aaye the dil ki pyaas bujhaane ke vaaste
ik aag si vo aur laga kar chale gaye

aaye the chashm-e-shauq ki hasrat nikaalne
sar-ta-qadam nigaah bana kar chale gaye

ab kaarobaar-e-ishq se furqat mujhe kahaan
kaunain ka vo dard badha kar chale gaye

shukr-e-karam ke saath ye shikwa bhi ho qubool
apna sa kyun na mujh ko bana kar chale gaye

lab tharthara ke rah gaye lekin vo ai jigar
jaate hue nigaah mila kar chale gaye

आँखों में बस के दिल में समा कर चले गए
ख़्वाबीदा ज़िंदगी थी जगा कर चले गए

हुस्न-ए-अज़ल की शान दिखा कर चले गए
इक वाक़िआ' सा याद दिला कर चले गए

चेहरे तक आस्तीन वो ला कर चले गए
क्या राज़ था कि जिस को छुपा कर चले गए

रग रग में इस तरह वो समा कर चले गए
जैसे मुझी को मुझ से चुरा कर चले गए

मेरी हयात-ए-इश्क़ को दे कर जुनून-ए-शौक़
मुझ को तमाम होश बना कर चले गए

समझा के पस्तियाँ मिरे औज-ए-कमाल की
अपनी बुलंदियाँ वो दिखा कर चले गए

अपने फ़रोग़-ए-हुस्न की दिखला के वुसअ'तें
मेरे हुदूद-ए-शौक़ बढ़ा कर चले गए

हर शय को मेरी ख़ातिर-ए-नाशाद के लिए
आईना-ए-जमाल बना कर चले गए

आए थे दिल की प्यास बुझाने के वास्ते
इक आग सी वो और लगा कर चले गए

आए थे चश्म-ए-शौक़ की हसरत निकालने
सर-ता-क़दम निगाह बना कर चले गए

अब कारोबार-ए-इश्क़ से फ़ुर्सत मुझे कहाँ
कौनैन का वो दर्द बढ़ा कर चले गए

शुक्र-ए-करम के साथ ये शिकवा भी हो क़ुबूल
अपना सा क्यूँ न मुझ को बना कर चले गए

लब थरथरा के रह गए लेकिन वो ऐ 'जिगर'
जाते हुए निगाह मिला कर चले गए

  - Jigar Moradabadi

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jigar Moradabadi

As you were reading Shayari by Jigar Moradabadi

Similar Writers

our suggestion based on Jigar Moradabadi

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari